Sunday, 4 January 2015

Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaane Waalay

Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaane Waalay Lyrics

Aa gae muzda shafa’at ka sunanay wale,
Naar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay wale.

Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne,
Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay wale.

Kar k ehsaan jitaana yeh nahi shaan unki,
Aur koi hon gai woh ehsaan jitaanay wale.

Mar k pohancha jo lehed main tou nakeeron ne kaha,
Marhaba na’at shah-e-deen ki sunanay wale.

Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko,
Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay wale.

Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid,
Aa ja daaman main meri na’at sunanay walay.

Sana Khawan: Owais Raza Qadri

Download mp3

Allah Allah Hoo Allah Hoo (Wohee Rab hai)

Allah Allah hoo Allah hoo

Wohee Rab Hai Jisny Tujh Ko Hama Tan Karam Banayaa
Humeinn Bheek Maangny Ko Taira Aastaan Banayaa

Tujhe Hamd Hai Khudaya Tujhe Hamd Hai Khudaya 

Allah Allah hoo Allah hooAllah Allah hoo Allah hoo
Tumhee Haakim-e-Baraya Tumhee Qasim-e-A’taya
Tumhee Dafa’e Balaya Tumhe Shafa’e Khataya 

 Koie Tum Saa Koon Aayaa Koie Tum Saa Koon Aayaa
Allah Allah hoo Allah hoo Allah Allah hoo Allah hoo 

 Wooh Kunwaari Paak Maryyam Woh Nafakhtu Feegh Ka Dum
Hay Ajub Nishaan e Azam Mager Aamina Ka Jaayaa

Wohee Sub Se Afzal Aayaa Wohee Sub Se Afzal Aayaa 
 
 Yehi Boolay Sidrah Walay Chamann e Jahaann Ky Thaalay
Sabhi Main Chaan Daalay Tery Paaye Ka Na Paayaa

 Tujhy yek ne yek banayaa banayaa

 Humein Aey Raza Tere Dil Ka Pataa Chalaa Ba Mushkil
Dar e Rooza Ke Muqabil Woh Humain Nazer Tou Aaya
Ye Na Pooch Kaisa Paaya Ye Na Pooch Kaisa Paya 


Download
More lyrics click here